Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi - Old Nauha from Lucknow by Janab Sultan Suroor Lucknowi
Old Nauha from Lucknow - Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Poet: Janab Suroor Lukhnawi Recited by: Anjuman Garoh e Hussain, Lucknow - Tanveer Haider Naqvi (Hilal) ========================= Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Watan pohuch kar bhare ghar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Nazar padi jo kabhi Maan ki adh-khile gul par Tabassum-e-Ali Asghar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Bilak ke qabr pe Besheer ko na jaao Rabaab Khule gi neend to Maadar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Rabab bali Sakina ko roye gi din-bhar Andheri raat mein Asghar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Uthey gi koye bhi mayyat jab eithraam ke saath Bahen ko Laash-e-Sarwar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Madina kaap uthey ga Bahen ke naalon se Watan mein jab bhi biradar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Sar-e-Hussain se ro kar kaha Sakeena ne Tumhe bhi kya kabhi dukhtar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Bahen ko aakhri rukhsat mein dekh lo Shabbir Gala katey ga to Khahar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Rida chhine gi to yaad aaye ga Furaath ka Sher Rasan bandhi gi to Akbar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Na jaao ganj-e-Shaheeda ki simt ai Zainab Base Basaye hue ghar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi Suroor* rok bhi jaye bhi pusht ke aihwaal Lahed mein gardan e Sarwar ki yaad aaye gi Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi ===== Please Comment / Like / Share / Subscribe. You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from: https://archive.org/details/BayaazOfO... Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay #OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gai - Old Nauha from Lucknow - Anjuman Garoh e Hussain

Bahen ne ro ke pukara,mujhe sahara do - Nauha by Anjuman Garoh e Hussain, Lucknow

Tanvir Haider - Haram Ko Kushta e Khanjar | Official Noha Audio

Najaf Ke Larkay Ko Ek Larki Se Mohabbat Hogai..!! Maulana Arif Hussain Kazmi

Jab Karbala Ki Simt Barha Haq Ka Rehnuma | Noha Khuwan Janab Sachay Bhai #ZulfiqareHaideri

Yaad Aoge Bhaiya - Shahid Baltistani - 2009-10 -ALBUM 10

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey - Old Nauha from Lucknow - Janab Sultan Suroor Lucknowi

Thi Sada yeh Zainab ki aaye tum nahin Baba - Old Nauha From Lucknow by Janab Mahir Lucknowi Saheb

IRFAN HAIDER Noke-e-Neza Nauha 2005\1426

Beti Ali ki Turbat e Zehra Par aayi hai

Khat men yeh Sughra ne likha kya hua - Old Nauha from Lucknow - Anjuman Garoh e Hussain

Aashoor ko jalte khaimo may - Raunak-e-deen-e-Islam

Kiya Mola Ali a.s Ny Ahtejaaj Nahi Kiya?? Ahlesunnat Jawab Den! Allama Anwar Ali Najfi

Ghab raye gi zainab - Old Noha

Ali Ka Sher Ran Me Aa Raha | Tarahi Salam Anjuman Nasirul Aza | 150 Sala Shabbedari | Lucknow 2025

Yaad Jab Agai Lakht e Dill e Shabeer a.s Ki Payas | Noha Khuwan Janab Sachay Bhai #ZulfiqareHaideri
![Aza Do Akbar Sahar hui hai [Adopt 1885] Anjuman:- Sajjadia Lucknow](https://i.ytimg.com/vi/JIwRxcuzFlQ/hqdefault.jpg?sqp=-oaymwEjCNACELwBSFryq4qpAxUIARUAAAAAGAElAADIQj0AgKJDeAE=&rs=AOn4CLDUveAmxb15g70Hb4jfFdDI98gX_w)
Aza Do Akbar Sahar hui hai [Adopt 1885] Anjuman:- Sajjadia Lucknow

" Khayal e Khaliq e Akbar ka HumKhayal Hussain(a.s) " recited by Mukhtar Fatehpuri

Salam E Akhir || Nasir Jahan ||Muharram Status

