Ek Ali ki Laadli Thi Ek Ali ka Laal Tha/ Nadeem Sarwar 1984 Nohwa

Ek Ali ki Laadli Thi Ek Ali ka Laal Tha/ Nadeem Sarwar 1984 Nohwa #nadeemsarwar #moharram #karbalalive #noha #bibizainab #azadarinetwork #imamhussain #hazratiimamhussainra lyrics:- Padke Mehzar Jab Madine Se Chala Wo Khaafila Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibte Mustufa Saath May Zainab Sakina Aur Roohe Fatema Syed E Sajjad O Asghar Saath Sughra Ki Dua Khaafila Tha Ek Lekin Do Thay Roohe Khaafila Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha Haye Wo Kis Shaan Se Nikle Thay Suye Karbala Saath Abbas E Jari Khabze May Tayghe Murtuza Markaze Tazeem Thi Do Hastiyan Har Ek Ka Ek Ali Ki Laadli ... Apne Beton Ko Fida Bhai Pe Zainab Ne Kiya Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab Se Huwa Ek Pal Juda Sar-Barehna Wo Chali Wo Bar Sare Naiza Chala Ek Ali Ki Laadli ... Sar Diya Bhai Ne Chadar Di Bahan Ne Deen Ko Na Bahan Aisi Na Aisa Bhai Hoga Momino Jisne Sar Uncha Kiya Hai Baani-E-Islam Ka Ek Ali Ki Laadli ... Sar-Barehna Thi Behan To Bhai Bhi Tha Be-Kafan Bhai Ke Baazu Juda Behna Ke Baazu May Rasan Sar Kiya Dono Ne Mil Kar Karbala Ka Maareka Ek Ali Ki Laadli ... Bhai Ne Cheh Maah Ke Bache Ki Mayyat Gaad Kar Ek Nayi Tareekh Likhi Karbal Ki Khaak Par Shukr Ka Sajda Jawabe Tay Ke Marne Par Kiya Ek Ali Ki Laadli ... Thi Rasan Basta Behan Lekin Jalalat Al-Amaan Khutba E Zainab Se Larza Thay Zameen O Aasman Rak Diya Thakhta Palat Ke Jisne Mulke Shaam Ka Ek Ali Ki Laadli ... Bhai Khaak O Khoon May Ghaltan Aur Zindani Bahan Aabroo-E-Mustufa Ek Aabroo-E-Panjatan Daudta Tha Jism May Dono Ke Sheere Sayyeda Ek Ali Ki Laadli ... Tasht May Bhai Ka Sar Zainab Bhare Darbar May Koi Bhi Insaan Nahi Tha Lashkare Kuffar May Khaak Madfan May Udaate Thay Nabiye Do Sara Ek Ali Ki Laadli ... Aaj Tak Qayam Hai Jinke Dam Se Deene Mustufa Naam Jinka Shaamile Juzwe Ibaadat Hogaya Khudsiyan E Arsh Ki Rehaan Aati Hai Sada Ek Ali Ki Laadli ...