Meri Zindagi Hussain ❤️ | Moharram 2026 New Qawwali | Chote Majid Shola | Imam Hussain (A.S.)

Meri Zindagi Hussain | Moharram 2026 New Qawwali | Chote Majid Shola | Imam Hussain (A.S.) Meri Zindagi Hussain Moharram 2026 ki ek jazbati aur roohani qawwali hai jo Shahenshah-e-Karbala, Imam Hussain (A.S.) ki azmat, qurbani aur paigham-e-insaniyat ko salam pesh karti hai. . 🎤 Fankar: Chote Majid Shola 🎵 Kalam: Meri Zindagi Hussain 🎥 Video - Taj Gulshan Studio (Nagpur) 🎙️ Music - Vikas Borkar - Audio City (Nagpur) 🌹 Karbala Tribute 🧑‍🎓 Manager : Arsalan Ayaz Shaikh imam hussain naat new islamic kalam Lyrics : Kya tamasha hua Islam ki taqdeer ke saath, Qatl Shabbir hue naara-e-takbeer ke saath. Ya Hussain Haq Hussain, Ya Hussain Haq Hussain Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Bechainiyon ke daur mein jis dil ko chain hai, Samjho ki uske zehan ka malik Hussain hai. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Yaad-e-Hussain dil mein sajate raho sada, Langar Hussain-e-Pak khilate raho sada. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Jab tak jiyo manao Moharram Hussain ka, Allah sabko deta nahin gham Hussain ka. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Khuddar zindagi ka taqaza hai dosto, Jeena Nabi se seekho to marna Hussain se. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Dil mein wafa ke maine jo deepak jalaye hain, Jab bhi Hussain likha Ali muskuraye hain. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Arsalan aur Majid ka imaan hai Hussain, Dono ke dil ki dhadkan aur jaan hai Hussain. Meri zindagi Hussain... Ya Hussain Haq Hussain, Ya Hussain Haq Hussain Zinda Islam ko kiya tune, Haq ko batil dikha diya tune. Jee ke marna to sabko aata hai, Mar ke jeena sikha diya tune. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Tamaam zulm teri zindagi pe toot pade, Sadafari teri himmat pe tu nahin toota. Hussain kyun na ho jaan-e-namaz sajda tera, Ke teri saans to tooti, wuzu nahin toota. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Maango dua waseele se khaali na jaayegi, Baat unki kabhi Rab se taali na jaayegi. Ishq-e-gham-e-Hussain mein aansu baha ke dekh, Itni khushi milegi sambhali na jaayegi. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Ejaz-e-Mustafa mein shariyat khadi rahi, Darwaza-e-Batool pe rehmat khadi rahi. Posht-e-Nabi pe sajde mein aakar chadhe Hussain, Baithe rahe Hussain, ibadat khadi rahi. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Islam tujhko god mein paala Hussain ne, Thokar lagi tujhe to sambhala Hussain ne. Islam ki ragon mein jo chubhta tha baar-baar, Kaata tha ek Yazid, nikala Hussain ne. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Dariya Hussain ka hai, samandar Hussain ka, Pyaason ke waste hai ye langar Hussain ka. Hai aarzoo wahan bhi mile dar Hussain ka, Jannat mein banke jaun main naukar Hussain ka. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Aawaaz de to Jannati Kausar nikal pade, Nehr-e-Furaat kheme ke andar nikal pade. Ye sabr ka maqam hai warna mere Hussain, Ungli jahan laga dein samandar nikal pade. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... Pehle do boond Madine ki mila dete hain, Phir yahi baith ke peene ka maza lete hain. Itni daulat bhi nahin tere khazane mein Yazid, Jitne Shabbir ke deewane luta dete hain. Meri zindagi Hussain, meri har khushi Hussain... 🏴🖤 #YaHussain #ImamHussain #Karbala #Moharram2026 #Muharram #Ashura #LabbaikYaHussain #Hussainiyat #Karbala2026 #AhlEBait #IslamicQawwali #MajidShola #MeriZindagiHussain #GhamEHussain #YaAliYaHussain Pinned Comment 🖤 "Karbala hamein sikhati hai ke haq ke liye khade rehna hi asal kamyabi hai." 🏴 Labbaik Ya Hussain (A.S.) Aap kis shehar se ye qawwali dekh rahe hain? Comment zaroor karein. 🌹 Agar aapko ye qawwali pasand aaye to Like, Share aur Subscribe zaroor karein. meri zindagi hussain meri zindagi hussain qawwali majid shola qawwali chote majid shola moharram 2026 qawwali new muharram qawwali 2026 imam hussain qawwali ya hussain qawwali karbala qawwali hussainiyat qawwali muharram kalam 2026 islamic qawwali best muharram qawwali heart touching qawwali majid shola official new islamic song 2026 ya hussain ya hussain karbala status imam hussain naat muharram special qawwali Hashtags #MeriZindagiHussain #MajidShola #YaHussain #ImamHussain #Moharram2026 #MuharramQawwali #Karbala #Hussainiyat #IslamicQawwali #NewQawwali2026 imam hussain imam hussain as imam hussain qawwali karbala karbala qawwali karbala status karbala 72 shaheed ya hussain ya hussain qawwali hussainiyat hussainiyat status moharram moharram 2026 moharram qawwali new moharram qawwali muharram special ashura 10 muharram karbala ka waqia imam hussain ki shahadat ahl e bait imam hussain manqabat karbala manqabat islamic qawwali urdu qawwali hindi qawwali majid shola official chote majid shola meri zindagi hussain ya ali ya hussain labbaik ya hussain gham e hussain shab e ashura karbala 2026 muharram majlis imam hussain bayan karbala islamic video ya hussain status imam hussain naat new islamic kalam