Shareek e dawat e Islam hai Abu Talib - part2 - Ali Rizvi Sachay

Shareek e dawat e Islam hai Abu Talib - part2 - Ali Rizvi Sachay and Team Shareeke Daawate Islam Hai Abu Talib Nabi Ko Haq Ka Ek Inaam Hain Abu Talib Hari May Wahi May Ilhaam Hain Abu Talib Haram Ke Azm Ka Ehraam Hain Abu Talib Ye Chunkay Laaye Jo Ghuncha Woh Phool Ho Jaye Phir Inki Godh May Pal Kar Rasool Ho Jaye Rasoolay Rab Ke Nigehbaan Hain Abu Talib Nabi Hain Deen Toh Emaan Hain Abu Talib Nuzoolay Wahi Ka Unwaan Hain Abu Talib Baghair Lafzon Ka Quran Hain Abu Talib Inhi Ke Dum Se Huwi Ibteda E Bismillah Inhi Ne Nuqta Diya Zeray Baa E Bismillah Payambari Ki Balaon Ka Rad Abu Talib Madad Khuda Ki Hai Shaklay Madad Abu Talib Nabi Ki Dhaal Damay Jiddo Kad Abu Talib Nishana Khatmay Rasul Aur Zad Abu Talib Jihad Inka Hai Pas Manzaray Jihad E Ali Ali Hain Baad May Inke Ye Pehlay Naaday Ali Nazar Chura Gayi Dunya Magar Abu Talib Kasay Thay Nusratay Haq Par Kamar Abu Talib Hazaron Taighein Thee(N) Aur Ek Pisar Abu Talib Rakhay Thay Apni Hathayli Pe Sar Abu Talib Lagan Jo Unko Na Hoti Charaghay Gul Hota Nabi Ka Fatiha Quran Ka Bhi Qul Hota Kahan Hai Tang Nazar Hum Se Bhi To Aankh Mila Hai Inke Kufr Ka Daawa To Kuch Saboot Bhi La Koyi Toh Rasm Jihalat Ki Inke Ghar May Dikha Buton Ke Aagay Jhuka Inka Sar Sar Apna Jhuka Khuda Ke Noor Pe Oh Khaak Daalnay Wale Ye But-Shikan Ko Hain Godhi May Paalnay Wale Rasool Inka Bara Ehteraam Karte Hain Sawab E Deed Se Tanzeem E Aam Karte Hain Seher Ko Uth Tay Hi Awwal Ye Kaam Karte Hain Inhe Namaz Se Pehlay Salam Karte Hain Nabi Agar Kisi Kaafir Ko Yoon Salami Hain Toh Phir Zaroor Nabuwwat May Koyi Khami Hain Inhi Ke Ghar May Hai Khairul Anaam Salle Alaa Pisar Nabi Ka Hai Qayam Maqam Salle Alaa Kisay Naseeb Hai Ye Ehteram Salle Alaa Ke Inke Khurd Hain Sare Imam Salle Alaa Khata Muaaf Ho Ye Bhi Agar Nahi Momin Toh Phir Jahan May Koyi Bashar Nahi Momin Na Janchiye Ye Rawayat Na Seerat O Kirdar Nabi Ke Ankh Se Ab Inko Dekhiye Ek Baar Ye Baargahay Risalat May Aap Ka Tha Viqaar Pacharh Khaa Ke Inhe Roye Ahmad E Mukhtar Woh Aam E Huzn Bana Inka Jab Visaal Hua Ye Gham Rasool Ke Ummat May Aik Saal Hua Ye Marnay Wala Gar Emaan Hi Na Laaya Tha Toh Kya Rasool Ne Kaafir Ka Gham Manaya Tha Zaban Pe Waa Abata Baar Baar Aaya Tha Wo Khud Bhi Roye Thay Auron Ko Bhi Rulaya Tha Jatadiya Tha Ke Jo Mohsin E Risalat Hai Toh Usko Rona Rulana Nabi Ki Sunnat Hai Ye Baat Agar Ho Ijazat Toh Pooch Loon Mai Yahin Hussain Ibne Ali Kya Nahi Thay Mohsin-E-Deen Hum Inko Roye Toh Phir Kyun Ho Koyi Cheen Bajeen Banay Thay Inka Toh Naaqa Rasoolay Arsh Nasheen Hussain Soye Shahay Mursaleen Ke Seenay Par Ghazab Hai Shimr Ka Zaanu Unhi Ke Seenay Par Bagoshe Hosh Kuch Abb Haalay Karbala Suniye Suna Jo Mere Tasavvur Ne Woh Zara Suniye Bayan E Himmat O Sabray Shahay Huda Suniye Wo Aati Hai Malakul Maut Ki Sada Suniye Mila Jo Hukm Ke Sar Se Nikaal Jaanay Hussain Kaha Ke Sakht Hai Ya Rab Ye Imtehanay Hussain Laga Hai Zakhmay Tabar Beh Raha Hai Sar Se Lahoo Bharay Hai Khoon May Jaanay Rasool Ke Gaysu Qareeb Jaakay Rakhoon Dil Pe Kis Tarha Qaboo Ke Iss Lahoo May Toh Hai Fatima Ke Doodh Ki Boo Nida Ye Aayi Ke Aankhein Toh Daal Aankhon May Kaha Behan Ka Hai Iss Dam Khayal Aankhon May Mein Phir In Ankhon Pe Dhaaun Sitam Ye Kya Hai Zaroor Bicharh Ke Jo Ali Akbar Se Hogayeen Bay Noor Nida Ye Aayi Dehen Se Nikaal Jaanay Huzoor Kaha Dehen May Toh Kaantay Parhay Hain Rabbay Ghafoor Ye Jaan Balab Sitam O Jor E Ashqiya Se Hain Zabaa(N) Hai Sukhi Huwi Theen Din Se Pyaase Hain Nida Ye Aayi Ki Gardan Se Khaynch Jaan Inki Kaha Mai Kya Karoon Gardan Pe Chal Rahi Hai Churi Churi Pakar Ke Ye Chillati Hai Koyi Bibi Na Zibha Kar Mere Bachay Ko Mai Dua Doongi Jahan Rawan Tere Khanjar Ki Aab Hai Zaalim Ye Bosagah E Risalat Maab Hai Zaalim Nida Ye Aayi Ki Seenay Se Qabz Karlay Jaan Kaha Ke Teeron Se Chalni Hai Ay Mere Rehman Abhi To Maarkay Barchi Hata Hai Ek Shaitan Aur Ab Toh Hai Tahay Zanu E Shimr Ye Quran Ye Karb Hai Ke Rukhay Paak Zard Hai Ya Rab Tere Hussain Ke Seenay May Dard Hai Ya Rab Nida Ye Aayi Ke Mazloomiyat Ke Rutba Shanaas Kamar Se Khaynch Lay Saabir Ki Jaan Bay Waswaas Kaha Malak Ne Tarap Kar Ba Dard O Hasrat O Yaas Kamar Toh Toot Gayi Jab Se Margaye Abbas Sadaye Ghaib Ye Aayi Bahaal Hai Chehra Kaha Kay Khoon Se Asghar Ke Laal Hai Chehra Ye Guftugu Thi Ke Murjha Gaya Rasool Ka Phool Falak Se Aagaye Roohul Amee(N)S Hazeen O Malool Kaha Pukar Ke Mooh Dhaamp Lo Bara-E-Rasool Pisar Ki Laash Pe Kholengi Apne Baal Batool Sada Ye Sunke Usi Simt Chal Parhi Zainab Tarap Ke Khaimay Se Bahar Nikal Parhi Zainab Naseem Udhar Se Toh Qudsi Ki Ye Sada Aayi Idhar Tarapti Huwi Bintay Murtaza Aayi Qareebay Laash Jo Khawhar Basad Buka Aayi Akhi Ke Halqay Bureeda Se Ye Sada Aayi Koyi Buzurg Na Ab Hai Na Khurd Hai Zainab Nabi Ki Aal Tumharay Sipurd Hai Zainab