Meri Bahana Noha | Fatehpur Chaurasi 10 mohharam Sultan E- Aarfi anjuman 26/6/2026 #maribahana #noha
Sultan E- Aarfi anjuman fatehpur chaurasi 10v maharam 🖐🏻🫀26/06/2026 please subscribe me👇🏻 @FatehpurChaurasimoharam (1) hote hi reha farshe aza mera bichana meri behna meri behna bhai ka jo paigham hai dunya ko sunana meri behna meri behna (2) mai hoo meri tanhai hai aur dashte bala hai maine abhi asghar ka lahoo rukh pe mala hai marne ke liye jaata hoo aur khushk gala hai zainab miljaye jo pani to meri nazr dilaana meri behna meri behna (3) sab mere asaase mein abhi aag lagegi baysheer ke jhoole mein abhi aag lagegi sajjad ke qaime mein abhi aag lagegi zainab bemaar ko jalte huwe sholo se bachana meri behna meri behna (4) ab chain sakina bhi meri paa na sakegi ghairat se koi zakhm bhi dikhlana sakegi maqtal ki zameen par usay neendh aa na sakegi zainab tum usko kahani mere marne ki sunana meri behna meri behna (5) jab shaam ke bazaar mein jaaogi khule sar barsayega aansu sar e abbas e dilawar koi bhi nahi hoga jo dede tumhein chadar zainab is khaakh bhare chehre ko balon se chipana meri behna meri behna (6) aayegi bahot narghaye kuffaar mein ghairat khamoshi se seh lena magar saari musibat gar royi to aajayegi dunya mein qayamat zainab dil thaam ke apna bhare darbar mein jaana meri behna meri behna (7) yaad aayega zindan mein sakina ko madina hojayega dushwaar usay qaid mein jeena jab aane lage maut ka maathe pe pasina zainab tab meri tarha tum use seene se lagana meri behna meri behna (8) yasrab ke taraf jaana agar qaid se chutkar nana ko dikhana hai mere qatl ka manzar rakh dena mera khoon bhara ammama lehad par zainab aur poochna kya waada wafa hogaya nana meri behna meri behna (9) amma se ye kehna ke ho jab waqt e shafa'at aaye jo sava naize pe khursheed e qayamat abbas ke shaano ko banaade wo zamanat zainab hojaye azadaron ki bakshish ka bahana meri behna meri behna (10) ek ujde huwe ghar ke azadaar hai dono sajjad se bemaar ke bemaar hai dono haan teri dua'on ke talabgaar hai dono zainab mushkil se sada nayyar o aamir ko bachana . . #meribehna . . #yaalimadad #e #hussaini #love #shianeali #hijriyah #ya #pakistan #islamicnewyear #yazainab #muslimah #imammahdi #rajab #nadeemsarwar #hijriah #puasaasyura #ramadan #islamic #dakwah #islamicreminders #muharam #hijrah #muhammad #indonesia #tahunbaru #islamicposts #ramadhan #azadariehussain #ramadankareem #dzulhijjah#muharram #karbala #islam #imamhussain #shia #yahussain #h #imamali #muslim #tahunbaruislam #yaabbas #allah #hussain #yaali #azadari #najaf #quran #ashura #imam #iraq #rabiulawal #labbaikyahussain #ali #islamicquotes #iran #like #ahlulbayt #arbaeen #azadar #moharram#muharram #india #islam #iran #muslim
