Mere Zanjeer Na Kehncho Sakina Jaag Jaye Gi || Shahid Baltistani || 24 Muharram Quba e Sakina Khi

#BibiSakina #ShahidBaltistani #AbuMustafaTv Mere Zanjeer Na Kehncho Sakina Jaag Jaye Gi Lyrics Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari Machao shor na logo sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi 1. Kabhi Bachi ko takta hai kabhi aansoon bahata hai Dar-e-Zindan pe betha musafir sabse kehtaa hai zaraa aaram se guzro sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi  2. Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte Tarap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hoto se agar ye aah nikli to sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi  3. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi  4. Abhi Zindan me hojayega kohraam phir barpa who aahat simt ke samjegi ke shayed aa gaye baba Dar-e-Zindan naa kholo sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi 5. Ye wadaa hai meraa pani nahi mangooga me tum se wo jab uthtjaya to jee bhar ke beshak maar na dure abhi bekas ko na maro sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi 6. Abhi azad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano parindo chordo zindan meri iltejaa maango chale jawoo naa yu chehko sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi  7. Sar-e-Zinda sakina ko kazaa ki neend kiyaa aayi kisi se kuch nahi kehtaa hai is mazloom ka bhayi ke ab ye der nahi usko sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi 8. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi 9. Saf-e-matam se abid ka ye Akbar bayn aata hai Isse bas baap ke purse mei hi ab cheyn aata hai Sada matam ki na roko, Sakina jaag jayengi Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari