Aaj 9:05 Baje Aankh Khuli 😭⏰

Follow me on Instagram - https://www.instagram.com/_kshitijpat... Day203/365 Aaj ki morning thodi alag thi 😂 Itna late utha ki seedha 9:05 baje aankh khuli 😭⏰ Fir bina kuch khaye-piye sidha office ke liye bhaaga 🏃‍♂️💨 Office toh time par pahunch gaya lekin meri aankhein abhi bhi so rahi thi 😂 Sabne poocha raat bhar soya nahi kya 😭 Fir batana pada ki bhai late utha hun bas 😂 Uske baad lunch tak pause liya 🎥 Lunch time me khana lene nikla aur aaj aloo pyaaz ka paratha liya 😋 Wahan ek cute sa baccha mila jo pooch raha tha, “Video bana rahe ho?” 🥹❤️ Usko camera dikhaya toh woh sharma gaya aur chup gaya 😂 Fir office aake Khushwant ko thoda kilsaya bhi 😭😂 Usko bola apni dahi khud laya kar scooty se jaake 🤣Serious nahi tha bas mazaak chal raha tha 😂 Uske baad normal baatein hui aur kaam chalta raha 😎 Sham ko samosa leke ghar aa gaye 😋 Samosa khaya aur fir gym ke liye nikal gaye 💪 Aaj legs & shoulder ka workout tha 🏋️🔥 Workout ke baad ghar aaye, nahaaye aur khana khaya ❤️ Aur aaj raat Brazil 🇧🇷 ka match dekhke hi sona hai ⚽🔥 Baaki pura scene vlog me hai 👀 Pura vlog end tak zarur dekhna ❤️ #officelife #gymvlog #legday #shoulderworkout #365daysvlog #indianvlogger #vloggerlife