Taboot Uth Raha Hai Husaine Ghareeb Ka | S. Asad Abbas Zaidi | New Nauha 2026 | 1448 Hijri
Bismillah ir-Rahman ir-Rahim. Pesh hai Ayyam-e-Aza 2026 (1448 Hijri) ka naya aur pur-dard nauha "Taboot Uth Raha Hai Husaine Ghareeb Ka". Mominin se guzarish hai ke is kalaam ko sunein aur dusre azadaron tak zaroor share karein. Bibi Zehra (s.a.) qabool farmayein! Video Credits / Details: 🔸 Nauha Title: Taboot Uth Raha Hai Husaine Ghareeb Ka 🔸 Nauhakhuwan: S. Asad Abbas Zaidi (Dastae Khateebul Imaan, Lucknow) 🔸 Kalaam (Poetry): Maulana S.M. Danish Zaidi 🔸 Tarz (Composition): S. Shuja Abbas Zaidi (Dastae Khateebul Imaan, Lucknow) 🔸 Year: 28-June-2026 / 12 Muharram 1448 Hijri Write Up Taaboot uth raha hai Hussaine ghareeb ka, Maatam yahan bapa hai Hussaine ghareeb ka. Farsh-e-gham-e-Hussain bichhaya gaya jahan, Jannat se rone aayi hain khud Fatima (s.a.) wahan, Majlis mein marsiya hai Hussaine ghareeb ka. Labrez gham se bint-e-Rasool-e-Khuda (s.a.w.) ki ye, Maqtal mein goonjti thi sada Fatima (s.a.) ki ye, Khanjar se sar juda hai Hussaine ghareeb ka. Ghodon se laash dasht mein paamaal ho gayi, Karb-o-Bala ki saari zameen laal ho gayi, Khoon is qadar baha hai Hussaine ghareeb ka. Baithi hain bibiyan sabhi jalti zameen par, Ye waqt kaisa aaya sabhi ke khule hain sar, Ghar baar lut gaya hai Hussaine ghareeb ka. Dil ho raha hai fart-e-museebat se paash-paash, Beemar beta kaise uthaye pidar ki laash, Paamaal tan hua hai Hussaine ghareeb ka. Palkon pe apne ashk-e-aza bhi alam karo, Sar par udaao khaak azadaaro gham karo, Farzand ro raha hai Hussaine ghareeb ka. Bahr-e-madad Najaf se chale aao Murtaza (a.s.), Maqtal mein sar ko peet ke kehti hain Fatima (s.a.), Ab dam nikal raha hai Hussaine ghareeb ka. Danish yahi banate hain har ek ka naseeb, Kehte hain sab adab se mujhe shayar-o-khateeb, Mujh par karam hua hai Hussaine ghareeb ka. . . . ताबूत उठ रहा है हुसैने गरीब का, मातम यहाँ बपा है हुसैने गरीब का। फर्शे गमे हुसैन बिछाया गया जहाँ, जन्नत से रोने आई हैं खुद फातिमा वहाँ, मजलिस में मरसिया है हुसैने गरीब का। लबरेज गम से बिन्ते रसूले खुदा की ये, मक्तल में गूँजती थी सदा फातिमा की ये, खंजर से सर जुदा है हुसैने गरीब का। घोड़ों से लाश दश्त में पामाल हो गई, कर्ब-ओ-बला की सारी जमीन लाल हो गई, खूँ इस कदर बहा है हुसैने गरीब का। बैठी हैं बीबियाँ सभी जलती जमीन पर, ये वक़्त कैसा आया सभी के खुले हैं सर, घर बार लुट गया है हुसैने गरीब का। दिल हो रहा है फर्ते, मुसीबत से पाश-पाश, बीमार बेटा कैसे उठाए पिदर की लाश, पामाल तन हुआ है हुसैने गरीब का। पलकों पे अपने अश्के अजा भी अलम करो, सर पर उड़ाओ खाक अजादारो गम करो, फरजन्द रो रहा है हुसैने गरीब का। बहरे मदद नजफ से चले आओ मुर्तजा, मक्तल में सर को पीट के कहती हैं फातिमा, अब दम निकल रहा है हुसैने गरीब का। दानिश यही बनाते हैं हर एक का नसीब, कहते हैं सब अदब से मुझे शायर-ओ-खतीब, मुझ पर करम हुआ है हुसैने गरीब का। . . تابوت اٹھ رہا ہے حسینِ غریب کا، ماتم یہاں بپا ہے حسینِ غریب کا۔ فرشِ غمِ حسین بچھایا گیا جہاں، جنت سے رونے آئی ہیں خود فاطمہ وہاں، مجلس میں مرثیہ ہے حسینِ غریب کا۔ لبریزِ غم سے بنتِ رسولِ خدا کی یہ، مقتل میں گونجتی تھی صدا فاطمہ کی یہ، خنجر سے سر جدا ہے حسینِ غریب کا۔ گھوڑوں سے لاش دشت میں پامال ہو گئی، کرب و بلا کی ساری زمین لال ہو گئی، خوں اس قدر بہا ہے حسینِ غریب کا۔ بیٹھی ہیں بیبیاں سبھی جلتی زمین پر، یہ وقت کیسا آیا سبھی کے کھلے ہیں سر، گھر بار لٹ گیا ہے حسینِ غریب کا۔ دل ہو رہا ہے فرطِ مصیبت سے پاش پاش، بیمار بیٹا کیسے اٹھائے پدر کی لاش، پامال تن ہوا ہے حسینِ غریب کا۔ پلکوں پہ اپنے اشکِ عزا بھی علم کرو، سر پر اڑاؤ خاک عزادارو غم کرو، فرزند رو رہا ہے حسینِ غریب کا۔ بہرِ مدد نجف سے چلے آؤ مرتضیٰ، مقتل میں سر کو پیٹ کے کہتی ہیں فاطمہ، اب دم نکل رہا ہے حسینِ غریب کا۔ دانش یہی بناتے ہیں ہر ایک کا نصیب، کہتے ہیں سب ادب سے مجھے شاعر و خطیب، مجھ پر کرم ہوا ہے حسینِ غریب کا۔ Please Support Azadari: Agar aapko yeh nauha pasand aaye toh video ko LIKE karein, apne doston aur family ke sath SHARE karein, aur hamare channel ko SUBSCRIBE karna na bhoolein taake aane wale tamam nauhay aap tak pahunch sakein. Please Like Our Facebook Page for more azadari Videos [ / shahreazalucknow ] [ / shahre_azaa_lucknow ] #TabootUthRahaHai #AsadAbbasZaidi #NewNauha2026 #Nauha1448Hijri #Muharram2026 #Muharram1448 #YaHussain #Karbala #Azadari #Shia #ImamHussain #DanishZaidi #ShujaAbbasZaidi #noha2026 #TabootUthRahaHai #SAsadAbbasZaidi #NewNauha2026 #Muharram1448 #Noha2026 #ImamHussain #Karbala #Azadari #YaHussain #ShiaNauha #LucknowAzadari #azaehussain . . . . . #hadeesekisa #hadeesekesa #حدیث_کیسا HADEESE KISA IN NAZM 👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻 • URDU HADEESE KISA NAZM ME || हदीसे किसा नज... --------------------------------------------------- TABOOT UTH RAHA HAI JANABE AMEER (a.s.) KA 👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻 • 4K NAUHA || TABOOT UTH RAHA HAI JANABE AME... --------------------------------------------------- NAUHA AMMA TERA HUSAIN (a.s.) AKELA HAI DASHT ME 👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻 • अम्मा तेरा हुसैन || AMMA TERA HUSAIN AEKLA... --------------------------------------------------- #nauha #nauha #majlis ALI C.D. CENTRE, LUCKNOW #trendingvideos #viralvideos

Yeh Hai Mera Abbas | Nadeem Sarwar | 2026 / 1448 - 47th Album

Mazloom Hussain Tanha Hai | New Noha 2026 | Muharram 1448 | Hammad Ali Nagri | Urdu Noha |

Shair Abbas

Imamia Jantri Ki Haqeeqat | Maulana Syed Arif Hussain Kazmi

Mother’s Powerful Dua on Prayer Mat | A Special Shia Wazifa for Children’s Problems | Dua Acceptance

Yaqeen Nahi Ata Tere Bazo Katay | Syed Raza Abbas Zaidi | Nohay 2026 / 1448 | Mola Abbas Noha

11 Muharram 2026 Karbala | Live Malis e Aza | Allama Asif Raza Alvi | PJP Travel

به تو دل ندهم به که دل بدهم | کربلایی حسین ستوده | Hossein Sotoodeh

Akbar Mera Sehriyan Wala HD Noha Shadman Raza 2005

درب العشك | محمد الجنامي

Hona Tou Yahi Tha | Nadeem Sarwar | 2026 / 1448 - 47th Album

پیروی کس کی کریں | Pervi kis ki karen |Allama Talib Johri

Hulchal Hay Fauj e Sham Mein | Nazim Party | New Noha 2026 | Muharram 1448/2026 | HDDMP

Nohay 2026 | Zainab Lipat Kay Royain Abbas Kay Alam Say | Syed Muhammad Raza Zaidi | Mola Abbas Noha

Yazeed Kaun Tha? Waqia-e-Karbala Kisne Karwaya? 😭 | Haqeeqat Kya Hai? Muhammad Tahir-ul-Qadri Bayan

Dr Ashraf Asif Jalali ki Halat Dekhin 😂 FIR karwanay wala! Hassan Allahyari | shia sunni islam

1986 - UK Square - Nadeem Sarwar Nohay

Maqtal e Imam Hussain | Mir Hasan Mir

🎞️ واحد | روضه خون تنها، سلام آقا | حاج مهدی رسولی

