Nasir Jehan - Musafiron Ko Madina Salam Kahta Hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai Faraaze Arshe muallah salam kahta hai Yeh kaun jata hai, Kaba Salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Hussain* yeh karam e kaarsaaz kya kahna Durood o ishq o salaam e niyaz kya kahna Yeh husn ki nigahe imtiyaz kya kahna Kisi ka jalwae yakta salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Kidhar se dard ke malik hawaae dard aai Yeh kiski aah tarapkar faza meiN lahraai Chale ho leike kidhar naazishe Masihaai Koi mareez tumhara salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Yeh jaante haiN baney ho rahe riza ke liye Bahot dinoN se ho be'chayn Karbala ke liye Hussain* murke zara deikh lo, Khuda ke liye Rawaqe mashHade Zehra* salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Nazar ke haiN ye ishare zuban nahiN khulti Kisi ke dard ke maare, zuban nahiN khulti Nabi* ke raaj dulare Zaban nahiN khulti DiloN ka dard e Masiha salam kehta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai Salam leejiye Aaqa, ab apne bandoN ka Har eik qaum ke, millat ke, haq pasandoN ka Salam saare zamane ke dard mandoN ka Hussain* sara zamana salam kahta hai Musafiron ko Madina salam kahta hai