Aagaye haram hoga arbaeen nauha lyrics

Thank you so much for subscribing my channel and liking my videos I don't own this Nauha I am just providing lyrics for the Nauha which was present in website. this Nauha belongs to anjuman e masoomeen. Nauha lyrics aagaye haram hoga arbaeen gham ke paasban dard ke ameen aaye qaid se abide hazeen farshe khaak par hai falak nasheen aagaye haram hoga arbaeen tauq bediyan aur reesma sar pe gir pada jaise aasman ghamzada falak roti hai zameen aagaye haram hoga arbaeen dekhiye mera zakhmi hai gala nange paon mai kaaton par chala aisi bebasi hogi kya kahin aagaye haram hoga arbaeen zindagi se ye maut hai bhali ay mere chacha sheh ki zindagi shaam may hai ab teri naazneen aagaye haram hoga arbaeen dukhte hai mere sab ye us suqan kis-se mai karoon haale dil bayan keh rahe hai ye abide hazeen aagaye haram hoga arbaeen akbare jawan mere bhai jaan saath tum nahi khaak hai jahan yaad karti hai zainabe hazeen aagaye haram hoga arbaeen sar kata diya ghar luta diya deen ko magar tu bacha liya fatema ke laal waarise akheer aagaye haram hoga arbaeen dafn jo hui dekho parde may nange sar kabhi thi jo balwe may uski betiyan dar badar phiri aagaye haram hoga arbaeen karbala may ab dekho ek baar gham may doob kar hogaya ye haal sayyeda ke saath fakhre mursali aagaye haram hoga arbaeen